Thursday, April 9, 2009

anonymous


i saw these couplets on the net,liked them so much
dont know the poet.

[usay apnay parday ki fiker thi wo jo mera waqif e haal tha,
wo jo uski subha e urooj thi,wohi mera waqt e zawal tha
,meri baat kese wo manta,mera dard kaisy wo janta,
wo to khud fana k safar pe tha,usay rokna bi mahaal tha,
kahan jaogay mujhy chor ker mein ye poch poch k thak gya,
wo jawab mujhko na de saka,wo to khud sarapa sawal tha,
wo mila jo sadyon k baad bi,meray lab pe koi gila na tha,
usay meri chup ne rula diya,jise guftagu pe kamal tha...!
]

1 comment:

Shahid said...

Door ek Qos-e-kaza pooch rahee thee mujh say
Doop kyoun baal sukhate hai udhar pani main.

Raat taroon ko zameenoon nay kiya zeer-o-zabar
Pavoon faila kay uterte hai saher pani main.

Kahi-rah (straw) paar huvay kishtiyaan aabaad huve
Aaj fir dhoob gayee aak lehar pani main.

Sabz patoon ke saazishoon say hua shahar zard
Surkh huntoon nay kiya shahad zahar pani main.

Maray palkoon say utartay hai taray daman main
Aur maray khoon kay bhiktay hai gohar pani main.

Haan usee shaksh kay lab see loo aman aayaga
Uske aahoon say he jiltay hai shajar pani main.

Saqiya zadi safar kishtiyoon main pani rakh
Main nay dakhee hai vahaan pyasee nehar pani main.